Home » Training & Guide

Step No. 1: Sab se pehle aap hamari products visit karein on: http://pakdropshipping.com/shop/ aur agar aapko lagta hay ke items aur inki prices best hein to next step ki taraf aa jaein. Hamari Daily New Arrivals aati hein aur saari products abhi tak complete nahi lagi. In products ke ilawa abhi wholesale lots, stock lots, canceled shipments, closeout inventories and leftovers ki listings bhi aaengi bohat jald is website pe.

Step No. 2: Agar aap in items ko Daraz pe sell karna chahte hein to apna store open kar lein jiska tareeqa is video se dekh lein: https://youtu.be/HwZwqf7Fvnw
Daraz mein address hamara add kar dein lekin address start aapki id number se hoga takay duplicate address na ho jae. Apni id number aur mukammal address ke liye aap 0334-3948583 pe whatsapp kar ke ham se le lejiye.

Agar aapka daraz store already bana hua hay to behtar hay ke address hamara enter kar dein warna returns ki aap ko pareshani rahegi warna jesa aapko theek lagay hamein koi issue nahi. Lekin us soorat mein aapke daraz account ki delivery option Dex pe set honi chahiye, leopards ya tcs pe nahi.

Step No. 3: Agar Daraz ke ilawa yani Shopify ke through, Facebook par, Instagram par, Tiktok par, apni website par ya kisi aur tareeqay se in products ki sales karna chahte hein to in par page ya accounts bana lein jiska tareeqa aapko youtube pe ba asaani mil jaega.

Step No. 4: Ab aap hamari products ko in marketplaces par lagana shroo kar dein. Inki pictures pehle apne pas download kar lein phir yahi pictures apne apne stores aur pages pe upload kar lein aur description ko hamari website se copy kar ke apne store mein paste kar dein.

Step No. 5: Agar aap ke pas PC ya laptop hay aur is ke zariye mazeed asaani ke sath kaam karna chahte hein aur abhi tak ki tamaam products ke folders download karne hoon to is ink ko open kar lein aur main folder select kar ke Download pe click kar dein:

https://drive.google.com/drive/folders/14XNy7Pixozi0hu-03T23lQ6CA1BVMm_n?usp=drive_link

(P.N. Files ke download honay ke baad Microsoft Word mein na open kariye ga balke Wordpad mein open kariye ga)

Step No. 6: Jo price hamari website pe lagi hui hay wo wholesale price hay lekin aap choonke hamaray partner hein lihaza aap ko aik piece bhi isi wholesale price pe mil jaega. To ab aap apna munasib sa profit add kar ke wo price apne store aur apne pages pe laga dein. Agar aap ne apne customer se shipping charges lene hein to phir product price ke sath shipping charges bhi alag se unko bata dejiye ga otherwise free shipping offer kar rahay hein to profit us hisaab se rakhiye ga ke aapka loss na ho.

Step No. 7: Agar aap ne Daraz ke ilawa bhi sales karna hay to 2 different procedures hein:

Model 1) Aap ko aapka separate courier account open karne ke liye refer kar denge (Full payment required for ordered items). Yani jo amount banegi order ki wohi pay karni hogi. Aapka order aapke courier account ke through dispatch hoga.

Model 2) Aap hamaray courier account ke through apne orders dispatch karenge. Aap ne advance koi payment nahi karni na hee product ki na hee delivery ki. Delivery & Packaging ke total charges 250 rupees honge. Is model mein jo items ki price hamari website pe mentioned hay uspe 10% COD charges add honge. (Customer ko aap hee ke naam aur contact number se parcel jaega)

Step No. 8: Profit aur payment ke hawalay se detail ye hay ke total 3 different Models hein hamari Dropshipping ke.
1) Daraz: Aap ki payment including profit ki amount aap ke account mein Daraz ke through direct aapke bataye hue account mein aayegi.
2) Aap ke courier account se: Agar orders aap apne courier account ke through dispatch karwatay hein to aapko aapki payment including profit isi courier company se direct aapke account mein mosool hogi aapke bataye hue bank account mein.
3) Hamaray Courier Account se: Agar orders aap hamaray courier account ke through dispatch karwatay hein to aapko koi advance payment nahi karni aur sirf net profit aapke bataye hue account mein har 15 din baad aapko mosool hogi.

Step No. 9: Jab aapko order aa jae to usko kis tarah process karna hay uski detail ke liye visit karein:
http://pakdropshipping.com/how-to-order

Step No. 10: Order ko process karne ke liye aap ka account register hona zaroori hay. Account registration charges 4000 rupees hein. Registration ke baad hee aapke single piece orders bhi ham wholesale price pe process kar sakte hein otherwise without registration aap ko every time minimum 12 pieces ka order place karna hoga kisi bhi aik product ka. Hamare saath apna dropshipping account register karne ke liye is link ko click karein aur diye gaye form ko fill kar ke submit kar dein: https://pakdropshipping.com/activate-my-account/

Step No. 11: Mazeed tafsilaat ke liye, barah-e-karam hamaray Frequently Asked Questions ko zaroor parhein at: http://pakdropshipping.com/faq/ aur ye 2 videos bhi lazim dekh lein:

PART 1: https://youtu.be/ekz8exMiIHs

PART 2: https://youtu.be/fTeSHq034v4

Step No. 12: Hamaray sath jurray rehne ke liye, hamaray Telegram aur Whatsapp ke Partner Channels ko Join kar lein. Ye hamare product inventory, updates, aur notifications ke channels hein:

Telegram Channels:
For General Products: https://t.me/resellerschannel
For Toys: https://t.me/toyswholesale
For Gadgets & Accessories: https://t.me/pakgadgets

Whatsapp Community Groups:
For General Products: https://chat.whatsapp.com/E6H5YCNIAV8Le1QzAOkE2g
For Toys: https://chat.whatsapp.com/EH9KYHOmynC5jg9Vk4VcCx
For Gadgets & Accessories: https://chat.whatsapp.com/Cxu4Tk1FHxqBYKFovIBDqs

Step No. 13: Apne PC ko Telegram ke sath kese connect karna hay.

https://telegram-for-desktop.en.uptodown.com/windows/download

Is link se Telegram ko apne PC mein download kar lein. Iske baad isay install kar lein to Telegram connect ho jayega. Is tarah aapke copy-paste ka kaam bohat asaan aur tezi se ho jayega.

Close
Close
Shop
Sidebar
0 Wishlist
0 Cart

Shopping Cart

Close

Shopping cart is empty!

Continue Shopping