Ecommerce Business
Agar aap apna ecommerce business shroo karna chah rahay hein to sab se pehli cheez aap ko category select karni paregi ke kin products mein deal karna hay, phir aap inke suppliers ki talash karenge jo aap ko behtreen price pe regular variety provide kar sakein uske liye aapko direct manufacturers ya phir importers ki talash karni paregi aur phir teesra marhala ye ke aap risk lenge un products ko buy kar ke apne pas stock karne ki jiski koi confirmation nahi ke aaya wo aap ko best & competitive price pe mil bhi rahi hay ya nahi aur ye ke agar aap ne quantity thori buy ki test and try ke liye to aap ko wholesale price nahi milegi yani purchasing bhi ziada karni paregi risk bhi lena parega inventory ko stock bhi karna parega aur phir ja ke jab aap marketing start karenge to customers ki tarah tarah ki demand aur requirement aap ke saamnay aayegi ke ye nahi chalega hamein kuch new dikhaien ya mazeed collections dikhaien ya phir inki koi particular choice to uski bhi procurement karni hogi aur yahi nahi iske baad aap ko apni inventory ko store karne ke liye aik warehouse ya space ki zaroorat bhi rahegi and finally jab orders aayenge to inko fulfill karne ke liye proper inventory management, packaging material and delivery arrangements bhi rakhna parega.
Aap ne ghabrana nahi hay!
Fikar na karein, in tamam jhanjhato se, risk se aur waqt ki bachat ke liye iska mutabaadil tareeqa bhi mojood hay aur wo ye ke Dropshipping Business model ko apnaya jae.
Dropshipping Business Kia Hay?
Dropshipping karobar ke us tareeqae kaar ko kehte hein jis mein seller products ka stock apne pas nahi rakhta balke sirf order mosool honay par teesre fareeq ke pas se apni zaroorat ke hisasb se products ki purchase karta hay aur usi se orders ki processing karwata hay. Yani seller ke pas na to apna koi stock hota hay aur na hee koi inventory. Wo is pooray process mein bager zahir kiye aik middleman ka role play karta.
Dropshipping kese kaam karti hay?
Sab se pehle seller apne liye reliable, trustable aur aisay suppliers dhoondta hay jiske pas inventory bhi ziada ho aur prices bhi best hoon. Secondly wo aik piece bhi aapko wholesale rate pe dene ke liye tayar ho aur third ye ke wo aap ke orders ko fast process yani pack and ship ki service same day deta ho.
Ab seller apne selected supplier ki products ko marketplaces, social platforms aur apni website wagera pe sell karne ke liye list kar dega.
Jab seller ko apne customer ki taraf se koi order mosool hota hay to seller un ordered products ko apne dropshipping supplier se buy kar ke customer ki shipping details aur apna shipping label provide kar ke supplier ke zariye hee apni packaging aur shipping ka arrangment karwata hay