Kia aap bager investment, bager risk and bager hardwork ke apna ecommerce business shroo karna chahte hein aur behtreen munafaa kamaana chahte hein?
Phir to dropshipping business model hee hay jiski aap talash kar rahay hein. Lekin dropshipping ka karobar shroo karna har karobari ke liye sahi intikhab nahi hay.
Aaiye Dropshipping ke fawaid aur nuqsanat par aik nazar daalte hein ke aaya ye aap ke karobari masaail ko hal karay ga ya in mein izafa karay ga
Dropshipping Business Model ki Khoobian
Chand wajoohat jinki waja se dropshipping aik maqbool model ban gaya hay chhotay aur barray dono businesses ke liye:
1. Kam se kam sarmaya darkar hay
Dropshipping model ke sath aap ko koi product pehle se khareedne aur usko stock karne ki zaroorat nahi hay jab tak ke aap pehle hee farokht na kar chuke hoon.
2. Shr0o karna nihayat asaan
Na stock rakhne ka risk, na warehouse aur space ke ikhrajat ka masla, na inventory management ka load, na hee returns aur inbounds shipments ki koi pareshani, na hee stock kam honay par re-order aur sourching ka intezam karne ki zimmedari
3. Izaafi ikhrajat se chhutkara
Darhaqeeqat bohat se kamyab dropshipping stores ziada tar home based kaam kar rahay hotay hein jiski waja se bohat saaray deegar ikhrajat se nijaat mil jati hay
4. Na waqt ki koi pabandi na location ki koi qaid
Dropshipping ka business bohat kamyab tareeqa se chalaya ja sakta hay sirf internet ka connection hona chahiye jis se aap supplier se aur customer se rabita mein reh sakein, baat cheet kar sakein aur bar waqt service faraham kar sakein baqi aap chahay kisi location per mojood hoon us se koi farq nahi parta aur kis waqt aap sales, marketing aur promotion kar rahay hein us se bhi koi farq nahi parta
5. Sell karne ke liye variety aur products ka anbaar
Supplier ki products aapki products hein. Ziada se ziada variety apne store pe lagaien aur koi qaid ya pabandi nahi ke kisi aik hee supplier ki products lagaien ye option aap ki marzi pe muheet hay ke aap ne kin kin suppliers se deal karna hay aur kon kon si products ko list karna hay
6. Easy Test & Try
Dropshipping business ka wo model hay jisko aap ba asaani test and try bhi kar sakte hein. Agar aap ko result, response aur profit achha milay to continue rakhein aur isko mazeed aagay le ke chalein otherwise easily wind up kia ja sakta hay kyunke aapki ko inventory bound nahi rakhi hui ya koi investment block nahi hua hay.
7. Mehnat kam munafa ziada
Agar ecommerce ka business hay aur aapko jab double ya teen guna ziada orders aana shroo ho jatay hein tab aap ka utna hee work load barh jata hay jabke dropshipping business mein kitna bhi kaam barh jae us mein hard work wala kaam yani orders ki processing, packaging and shipment ka kaam aapke supplier ke zariye hee hona hay
Dropshipping Business Model ki Khaamian
Dropshipping business ki jo tamaam khoobian ham ne oopar bayaan ki wo aik bohat khoobsurat aur nihayat dilkash model paish karta hay lekin tamaam business models ki tarah dropshipping business ke bhi manfi pehlu aur khaamian hain jo ke kuch yun hein:
1. Profit Margin
Choonke is business model mein izafi ikhrajat bohat kam hein, koi investment nahi hay aur na hee packaging aur shipment ka work load hay lihaza is tough competitive market mein sellers apna kam se kam profit rakh ke ziada se ziada sell karne ki koshish mein lagay rehtay hein takay maximum sales generate kar sakein. Is masle ko kam karne ke liye aap ko behtreen sales channels ka intikhab karna parega jesa ke khud ki high quality aur best standard ki website bana lein aur apni customer service ke maayar ko maintain rakhein
2. Stock and price update issues
Jitni barri inventory utne stock aur price update ke issues face karne honge. Zahir si baat hay ke kisi na kisi item ka stock finish ho sakta hay supplier ke pas ya koi item re-stock bhi ho sakta hay. Similarly product price kisi ki bhi barh sakti hay ya kam bhi ho sakti hay to jitni barri inventory hogi utne notifications honge aur utna hee aapke liye zaroori hota hay ke sath sath apne end pe bhi isko update karte rahein.
3. Shipments ki paicheedgiyan
Agar aap different suppliers ke sath kaam kar rahay hein to ye aapke store par mojood products mukhtalif suppliers ke zariye hasil kia jae ga jiska matlab ye hua ke aapki supply chain par koi control nahi hay. For example, aik hee customer ne teen different items ka order kia aur ye teeno different suppliers ke pas se ship hona hay which means ke aap ko aik hee customer ko har item bhejne ke liye teen alag alag shipping charges pay karne parenge aur ye charges aap customer se nahi demand kar sakte
4. Suppliers ki mistakes
To err is human. Lekin!
Kia aap par kabhi kisi aisi cheez ka ilzaam lagaya gaya jo aap ki galti nahi thee lekin behrhaal aap ko zimmedari qabool karni parri?
Ofcourse behtreen dropshipping ke suppliers bhi orders ko process karne mein galtian kar jatay hein is liye to kehte hein ke To err is human. To aisi galtian bhi ho jati hein jin ke liye aap ko zimmedari qabool karni parti hay aur maafi maangni parti hay. Low quality suppliers ki low quality products, low quality service, low quality packaging, delayed shipments, wagera wagera. Ye sab aapke customers ko aap se door karti hein aur aap ke karobar ki saakh ko nuqsan punhcha sakti hein.
5. Branding and Direct Contact of Supplier
Kuch suppliers aapke orders ki packaging apne brands ki packaging material mein karte hein aur kuch apne shipping labels jin pe unka apna naam, apna brand, apna contact aur apni website wagera ki tashheer hoti hay us mein customers ko products apne zariye bhejte hein jis se customer kisi bhi qism ki mazeed tafseelat ke liye ya next order ke liye un se direct rabita karta hay aur yun aap apna aik customer kho dete hein
Important Advice
Agar aap dropshipping model business shroo karna chah rahay hein to different suppliers par research zaroor kar lein. Unke pas ja ke physical stock dekh sakein to best hay. Unki variety check karein, products ki quality dekhein. Inhouse stock ka hona bohat zaroori hay, as per order sourcing kar ke supply karne walay to bohat mil jatay hein lekin us mein out of stock ka risk factor hamesha rahega. Suppliers se direct milein, unki dealing dekhein, un se baat cheet karein, unke apne kaam ke liye unki commitment aur dedication ko analyze karein, customer reviews/feedback check karein, unki stock updates check karein ke wo timely aati hein ya nahi aur sab se main cheez unki prices compare kejiye aur phir kaam shroo kejiye.