General Questions
For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=ekz8exMiIHs&t=120s
For detail, pls watch: https://vt.tiktok.com/ZSM5XN3x3/
For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=ekz8exMiIHs&t=218s
Nahi, PakDropshipping kisi ek specific niche tak limited nahi hai. Hum multiple categories ki products offer karte hain, jinmein gadgets & accessories, electronics, home & kitchen, health & beauty, toys aur bohat kuch shamil hai.
To view few of our products range, pls visit: https://youtu.be/yiZR82F1Nuo
Jee Bilkul! PakDropshipping ka business part-time ya full-time dono tarah se kia ja sakta hay. Ye business flexible hay aur aap apni convenience ke hisab se isay manage kar sakte hein.
✅ Next Level Model:
Agar aap Next Level Model ke through orders process karte hain (jismein hamaray courier account se orders dispatch hotay hein), to aapki investment nahi lagti. Is model mein shipping labels pe sender name aur contact number aapka hee hota hai, lekin payment ham manage karte hain. Aapko sirf oopar ka profit milega, jo har alternate week direct aapke account mein transfer ho jata hai.
✅ Apne Courier Account ke Saath:
Agar aap apne khud ke courier account se orders process karna chahte hain, to is model mein aapki investment sirf kuch dino tak hold rehti hay wo bhi sirf order place karne ke time aap payment karenge aur uske kuch hee din baad aapko aapki courier company se wo payment bamay profit ke aapke account mein mil jaegi probably within a week time depending ke aapki courier company se kia baat teh hui hay ke wo kab kab payment karenge aapko.
Registration charges ke kaee reasons hein jo ke yahan mention karenge to kafi lengthy ho jaega. Investment and registration charges mein farq hota hay. Registration charges na rakho to direct customers apni personal shopping hamaray is platform se shroo kar denge aur yun hamaray partners ka haq maara jaega. Aap iske charges pay karte hein to hamaray system mein aapke account ki registration hoti hay aapka account create hota hay aur is account se aapke orders process honge ke ye partner account ka order hay. Registration ke bager wholesale price pe single piece ka order process karna possible nahi.
For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=1095s
Jee bilkul, agar aapka apna physical store hai ya offline sales karna chahte hein to bhi aap hamari wholesale ya dropshipping services use kar sakte hain aur apne store ke liye products le sakte hain. Hamari website pe already wholesale price hee mentioned hein. Agar aap bulk purchasing karna chahte hain, to hamari support team se rabita karein on WhatsApp 0334-3948583 ya email at: cs@pakdropshipping.com
PakDropshipping pe listed prices wholesale based hein. Ye aik B2B (Business-to-Business) platform hai, jo sirf resellers aur business owners ke liye hai. Hamari website per sirf registered members hee order place kar sakte hain. Ye platform personal shopping ke liye nahi hai, balke sirf un logon ke liye jo aagay bechne ke liye products kharidna chahte hain. Agar aap reseller ke taur par register karna chahte hain, to hamari website par sign-up karein aur apna account activate karwaein.
For detail, please visit: https://pakdropshipping.com/activate-my-account/
Jee han bilkul possible hay. For detail, please is audio ko sunn lein:
For detail, pls watch: https://youtu.be/srEK31HiJuI
Community & Customer Support
Telegram use karne ka main maqsad ye hay ke pichhli saari products ka bhi data aur updates aapko mil jae lekin telegram channels ke sath sath whatsapp commumities bhi active hein. In channels aur communities ka main maqsad ye hay ke products ki notifications aur updates yani price change, out of stock, re-stock aur general announcements wagera aapko milti rahein. Ham yahi suggest karenge ke hamaray channels aur communities ko aap lazim join kar lein. Is ke zariye aapko important messages, tips & techniques, guide aur interesting offers bhi share kee jati hein.
For detail pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=ekz8exMiIHs&t=537s
For Telegram Channels , Pls join:
Guide ke liye: https://t.me/resellerguide
General Products Channel: https://t.me/resellerschannel
Toys Channel: https://t.me/toyswholesale
For Gadgets & Accessories: https://t.me/pakgadgets
Ye links sirf telegram ke zariye hee open hongi. Agar telegram installed nahi hay to pehle install kar lein yahan se:
https://play.google.com/store/apps/details?id=org.telegram.messenger
Agar Telegram ki connectivity mein koi issue aaye to screenshot ke sath whatsapp number: 0334-3948583 pe rabita kejiye ga to solve karwa dia jaega.
For Whatsapp Communities, Pls join:
For General Products: https://chat.whatsapp.com/E6H5YCNIAV8Le1QzAOkE2g
For Toys: https://chat.whatsapp.com/EH9KYHOmynC5jg9Vk4VcCx
For Gadgets & Accessories: https://chat.whatsapp.com/Cxu4Tk1FHxqBYKFovIBDqs
Hum WhatsApp par support provide kar rahe hain on: 0334-3948583. Aap hamein message karein aur thora wait karein, hamari team jald reply karegi. Dedicated account managers aapko account activation ke baad assign kiye jaate hain, aur yeh process aapka pehla order receive hone ke baad start hota hai
Selling Platforms & Marketplace Support
Jee bilkul kisi bhi platform ya marketplace pe aap sell karna chahte hein aap beshak karein, no issue.
For more detail, pls visit: https://www.youtube.com/watch?v=ekz8exMiIHs&t=779s
Also read detailed guide and procedure at: https://pakdropshipping.com/how-to-start-your-dropshipping-business-on-daraz-with-pakdropshipping/
You can operate up to 4 different Daraz accounts under one registration with PakDropshipping. P.N. For each Daraz store, there is an additional charge of 1000 rupees (for flyers and/or cartons). You won’t need to pay any additional charges for flyers, cartons, or boxes for Daraz orders.
Jinke daraz stores hamaray pas already registered hein aur flyers ki one time payment ho chuki hay to to theek hay otherwise returns ki soorat mein ittela nahi dee jaegi chahay milte julte naam hoon, ya alag hoon ya phir aap ne khud naam change kia ho, unki flyers ki payment honi zaroori hay (1000 only). Ye one time charges hotay hein iske baad aapke chahay kitne bhi orders aaein aur kisi bhi size ke flyers ya cartons ya box mein parcels jaenge hamari taraf se koi extra charges nahi hein lihaza one time fee pay kar ke hamaray sath taawun kejiye. Itne kam charges koi bhi nahi leta ye total loss hay hamara. Aap cartons ki cost khud bhi daraz ki website pe check kar sakte hein. Shukria
Facebook pe page bana ke products post karein aur behtreen result ke liye unko boost karein. Similarly facebook groups aur marketplace ko bhi try kar sakte hein. Instagram par bhi same tareeqa rahega, paid advertisement ka response qadray behtar hota hay.
Iske ilawa tik tok pe short videos promote kar sakte hein, whatsapp business pe apna catalog banaein, olx pe sell karein, apne social contacts ko products ki listings broadcast karein, whatsapp groups mein participate karein.
Sab se best ye hay ke apna ecommerce store banaein (shopify ya wordpress pe) aur phir usko meta ads ya google adwords ke zariye creatives bana ke promote karein, products ki review videos banaien ya influencers ke through iski marketing karwaein. Mazeed marketing and promotion techniques ke liye youtube ki videos lazim dekhein ye aap ka apna business hay jitna time denge jitne efforts karegne utna result milega.
For more detail, pls visit: https://youtu.be/ekz8exMiIHs?t=848
Filhaal ham sirf Nationwide yani within Pakistan hee apni dropshipping services provide kar rahe hain.
Pricing & Profit
– The net profit amount for every 15 days is automatically transferred to the Partner’s provided bank account, as indicated during registration. This process occurs twice a month, following the conditions outlined below:
1. Your profit amount For the 26th to the 10th of each month, the invoice for the net profit of delivered, return-received, and return-in-transit orders is generated on the 11th, and the due amounts are transferred on 15th.
2. For the 11th to the 25th of each month, the invoice for the net profit of delivered, return-received, and return-in-transit orders is generated on the 26th, and the due amounts are transferred on 30th.
Note: The dates of statement generation and the profit transfer cycle are subject to working days.
Minimum payout 1000 rupees.
For detail, pls watch: https://vt.tiktok.com/ZSM5gmvWp/
For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=204s
Nahi, filhal hum sirf upfront payment aur COD (Cash on Delivery) methods offer karte hain. Installments ya BNPL ka option available nahi hai.
Hamari poori koshish hoti hay ke ham apni products ki prices sab se behtar aur competitive rakhein. Agar aap ko koi bhi same product kisi doosri website par PakDropshipping se kam price mein mil rahi hai, toh us website ka screenshot aur link humein WhatsApp karein on 0334-3948583. Hum isay verify kar ke apni pricing aur behtar bananay ki koshish karenge.
Please Note: Yeh zaroori hai ke website legitimate ho aur product out of stock na ho.
Also please watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=605s
Logistics & Courier Services
Jee bilkul, aap is baat ki tasalli rakhein ke parcel par PakDropshipping ka koi zikar nahi hota. Sender details mein sirf aap ka diya gaya naam aur contact number mention kiya jata hai, takay aapke customers ko yeh lage ke parcel seedha aapke store ya brand se dispatch hua hai.
12pm se pehle jo orders aatay hein wo same day dispatch ho jatay hein. 12pm ke baad koi order aayega to next day dispatch hoga. Sunday ko tamam couriers ka off hota hay. After dispatch, Delivery 2 to 3 days in major cities and 4 to 6 days in remote areas and interior cities
To view our detailed Dropshipping Models Comparison, Shipping Details, and Profit Schedule, please visit: https://pakdropshipping.com/our-dropshipping-models-comparison/
Behtar to ye hay ke aap khud se search karein aur prices compare karein feedback dekhein customer reviews dekhein aur phir decide kar lein ke kis company se aap ka dil mutmain hay. Different partners ne different companies mein apne apne accounts open kiye hue hein aur yun hamaray pas taqreeban saaray major courier companies ke riders almost daily aa ke ham se parcels collect kar ke le jatay hein jin mein TCS, Leopards, Trax, Call Courier, Blue-ex, Forrun, Insta Courier, Postex, M&P wagera shamil hein. Hamari kisi bhi company ki koi jawabdari zimmedari liability nahi na hee koi lena dena hay lekin phir bhi agar koi suggestion chahiye to munasib service aur munasib rates aap ko Leopards, Trax, Postex ya Call Courier se mil jaenge hamaray reference se. Mazeed info ke liye visit karein: http://pakdropshipping.com/my-courier-account/
Jee haan, PakDropshipping par packaging ki custom branding ka option available hay. Agar aap apne brand name ki packaging mein products sell karna chahte hain, to hamein apni requirements share karein. Custom packaging ke charges aur minimum order quantity (MOQ) ke liye hamari support team se WhatsApp: 0334-3948583 ya email: cs@pakdropshipping.com par rabta karein.
Shipping delays aksar unforeseen factors (jaise ke courier issues, weather conditions, ya operational constraints) ki wajah se ho sakti hain. PakDropshipping apni taraf se timely dispatch ko ensure karta hai, magar once dispatched, delivery time courier service par depend karta hai.
Agar delay courier ki taraf se extraordinary ho aur standard delivery time se bohat zyada exceed kar jaye, to hum is matter ko courier company ke saath escalate karte hain. Compensation sirf us surat mein ho sakti hai jab delay courier company ki policy ke mutabiq claimable ho. Mazid maloomat aur specific cases ke liye hamari support team se rabta karein.
Jaisay hee aapka parcel dispatch hota hai, uske shipping labels ki ek copy aapke WhatsApp number par share kar dee jati hai. Iss par mentioned tracking numbers se aap khud bhi courier ki website se latest shipment status check kar sakte hain aur apne customer ke saath bhi share kar sakte hain. Agar kisi wajah se tracking update na ho rahi ho ya delay ho, to aap apne account manager se diye gaye WhatsApp number par rabta kar sakte hain
Jee, ab hum “Allow to Open” ka option dete hain, lekin sirf un orders ke liye jinka aap ne khud request ki ho. Agar aap chahte hain ke customer delivery ke waqt parcel khol kar check kare, toh order place karte waqt Note mein “Allow to Open” likh dejiye ga.
Lekin is baat ka khas khayal rakhein ke “Allow to Open” karwane ke baad us order ki mukammal zimmedari aap ki hogi. Agar koi parcel humein open honay ke baad wapis aata hai aur wo ussi condition mein hota hay jesa ham ne send kia tha phir to No Objection aur wo refund ho jaega. Lekin agar parcel khulne ke baad return aata hay aur same condition mein nahi hota (yani koi bhi item missing hua, damaged hua ya exchange kar diya gaya), toh humari koi zimmedari nahi hogi. Aisay case mein product ki full amount aap se deduct ki jayegi. Ab aap chahein to usko resale karein ya apne pas mangwa lein lekin wo product aap ne ham se khud arrange karke dispatch, collect ya pickup karwani hogi within one month time.
Hum aapko return parcel ki video provide kar denge taakay aapko tasalli ho ke uske saath kya hua hai. Agar aapko hum par trust hai, toh yeh service avail kar sakte hain. Warna by default, hum “Allow to Open” ka option disable rakhte hain.
Products & Inventory Management
Jee haan, PakDropshipping par naye products almost daily add kiye jaate hain. Ham market trends aur demand ko mad e nazar rakhte huay apni product catalog ko lagataar update karte rehte hain. Naye add hone wale products dekhne ke liye hamari website visit karein ya hamare Telegram channel aur WhatsApp group join karein, jahan par ham regular updates share karte hain.
Reason we don’t disclose best selling products: https://www.tiktok.com/@pakdropshipping/video/7303801189643193605
Guide to hunt for winning products: https://youtu.be/hbeQNZVeBS8
For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=868s
Ad Campaign run karni ho to lazim 0334-3948583 pe picture send kar ke stock ki availability confirm kar lia karein please.
Please listen to this audio message:
Also pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=1201s
Jee haan, PakDropshipping par seasonal products bhi available hoti hain. Hum trend aur demand ko mad e nazar rakhte hue naye seasonal products add karte rehte hain jaise ke winter mein garam clothing aur heaters, aur summer mein cooling fans aur sunglasses, etc.
Aap hamare Telegram channel aur WhatsApp groups join karein taake aapko naye seasonal products ki updates barwaqt mil sakay.
Ji haan, hum tamam products ki quality check karte hein taakay aapko aur aapke customers ko behtareen products mil saken aur complain ki nobat na aaye. Hamara separate QC department hay jo dispatch se pehle make sure karta hay ke product OK hay aur working condition mein hay siwaye un products ke jo company sealed packed hoti hein.
Pls visit: https://www.youtube.com/shorts/fyyxHZZjLiA
Agar aapko kisi product se mutaliq koi sawal ho, toh aap “Product Q&A” feature ka istamaal karke hamari team se rabta kar sakte hain.
PakDropshipping.com par us product ka page kholain jisse mutaliq aapka sawal hai.
Page ko scroll karein jab tak Q&A section nazar na aaye.
“Q&A” option par click karein.
Apna sawal likhein—jaise ke product ki features, functions, ya kisi bhi aur tafseelat ke baaray mein poochhna ho.
Sab zaroori maloomat bharne ke baad “Submit” button par click karein.
- Aapko jald hee aapke registered email par jawab mil jayega. Website pe yehi jawab doosray users ke liye bhi dekhne ke liye available hoga.
Custom Orders & Warehousing
For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=964s
Bulk Orders yani 25 ya is se ziada orders ki soorat mein isko Click kar ke Excel File Download kar lein aur details fill kar ke apne dedicated account manager ko unke WhatsApp pe send kar dein.
Order Processing & Delivery
Sunday ke din Daraz aur doosre tamam couriers ka off hota hay lekin phir bhi aap koshish karein ke jese hee aapko order receive ho to aap jald se jald hamari website pe apna order place kar dia karein chahay koi bhi din ho koi bhi time ho.
Order processing delays ki ham se complain na kariye ga. Orders sirf wohi process honge jo dopehar 12 bajay se pehle mosool ho chuke honge. Warna next day dispatch honge.
Watch this video for step by step guide about How to Order Procedure: https://youtu.be/jIjkjzX-UH4
Daraz Orders ke liye aapko separate Account Manager assign kar dia jata hay aur COD Orders ke liye seperate Account Manager assign kar dia jata hay jo aapke orders se related issues ko handle karega. Account Manager ka Contact Detail aap ke first order mosool honay pe provide kar dia jaega.
For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=1425s
For detail, pls visit: https://youtu.be/ekz8exMiIHs?t=945
Order Cancellations & Returns
If you need to cancel an order for any reason, you can easily do so by contacting your assigned account manager via WhatsApp. Please note that cancellations must be made before our cutoff time at 12 PM. Any cancellation requests received after this time may not be processed.
Is ka answer aap ko is video mein bhi mil jaega: https://youtu.be/ekz8exMiIHs?t=1087
aur mazeed detail ke liye visit karein: http://pakdropshipping.com/return-refund-policy/
COD ka department separate hay. 10% unke service charges hein cash handling charges nahi hein ye. Unki team aapke parcels ki booking karte hein, aapke accounts statement mein entry karte hein, printout nikaalte hein, warehouse mein unke apne packaging ka staff hota hay jo saari items ko pack and dispatch karte hein, returns and delivered ki update rakhte hein, apni investment kar ke aapka order ship karwate hein, returns jab aatay hein to products ki packaging condition bhi kharab ho chuki hoti hay ye sab services isi 10% se hee cover hoti hein. Parcels lost bhi hotay hein, time pe returns nahi aatay, IT ki poori team ki salary aur aapko dedicated account manager provide karna, aur bhi bohat kuch. In sab ke bawajood agar koi return aata hay to COD department ka to koi qasoor nahi hay ke wo apna loss karein jabke services poori provide kee hein.
Is soorat mein aap Daraz se direct rabita karein. Inke returns hamaray control mein nahi. Aap ne apne parcels ka track khud rakhna hoga. Ham sirf unhi ki update de sakte hein jo hamaray pas receive ho gaya baqi aap daraz seller center call kar ke mazeed status khud check kar sakte hein ya complain launch kar sakte hein.
Refund & Payments
Pls visit: https://youtu.be/ekz8exMiIHs?t=1218
Daraz se payment direct aapke account mein aayegi month mein 3 times yani after every 10 days. Ye aapka apna zaati store aur aapka apna business hay iski payment aur profit se hamara koi lena dena nahi hay
Wallet payment sirf un partners ke liye hai jo Daraz ke liye orders place karte hain ya apne khud ke courier account se orders process karwate hain. Kyunki Daraz ya aapki courier company aapko direct payment karti hai, is wajah se jab aap hamaray platform se orders place karenge, to unki payment sath sath karni hogi. Yeh payment aapke wallet ke through process hoti hai.
Wallet top-up ke liye yeh link visit karein:
https://pakdropshipping.com/my-account/woo-wallet/add/
Please Note:
- Wallet top-up ke liye alag se email ya WhatsApp message bhejne ki zaroorat nahi hai. Bas website pe order karein aur wait karein—hum daily 2 dafa wallet update karte hain.
- Minimum top-up amount Rs.1000 hai. Is se kam amount accept nahi hoti.
- To view account details for payment, pls visit: https://pakdropshipping.com/payments
Wallet se amount withdraw karne ke liye yeh form fill karein:
https://pakdropshipping.com/wallet-withdrawal/
Please Note:
- Minimum withdrawal amount Rs.1000 hai. Is se kam amount withdraw nahi ho sakti. Sirf account permanently close karne ki surat mein exception di jati hai.
- Make sure ke aap ka Account Title aap ke CNIC card par mojood naam se match ho, jo aap ne acount registration ke dauran hamein faraham kiya tha
Tracking & Order Status
Your assigned account manager will send you the shipping labels for all your orders via WhatsApp. These labels will include complete details such as the sender’s name and contact information, as well as the customer details and the tracking number. You can share this tracking number with your customer and track the parcel yourself by entering the tracking number on the respective courier’s website.
Website & Online Store Setup
Jee bilkul bana denge. For details, pls visit: https://youtu.be/7yWo7duw700
Registration & Membership
No. For detail, pls watch: https://www.youtube.com/watch?v=fTeSHq034v4&t=1046s
Account Activation Form fill karne ke baad, aapka account 4 se 5 din ke andar activate kar diya jata hai. Activation ki confirmation aur further instructions aapke registered email aur WhatsApp number par bhej di jayengi.
Nahi, registration ke baad account transfer nahi kia ja sakta. Har account individual use ke liye hota hay.
Jee haan, hamari terms & conditions ko follow karna zaroori hai. Agar kisi wajah se policy violations hotay hain, to account temporarily suspend ho sakta hai, aur repeated violations ki soorat mein permanent termination bhi mumkin hai. Ham recommend karte hain ke aap hamari terms & conditions zaroor parhain: http://pakdropshipping.com/terms. Agar koi confusion ho, to aap hamari support team se bhi rabta kar sakte hain
Jee haan, aap apni account details update kar sakte hain. Iske liye aap apne dashboard se relevant changes kar sakte hain. Agar kisi specific detail ko update karne ka option na ho, to hamari support team se WhatsApp: 0334-3948583 ya email: cs@pakdropshipping.com par rabta karein.
Please Note: Account Title change nahi kiya ja sakta. Yeh aapke CNIC par mojood naam se match hona zaroori hai, jo aap ne account registration ke dauraan faraham kiya tha
Jee haan, agar aapki registration approve nahi hoti to aapko aapke paisay pooray wapas kar diye jayenge.
View detail on how to reset your password: https://www.youtube.com/shorts/HuObUnCV8bw
PakDropshipping ka platform khusoosi taur pe beginners ki motivation aur support ke liye design kiya gaya hai, is wajah se kisi bhi minimum order ki koi pabandi nahi hai. Aap apni sahulat ke mutabiq orders place kar sakte hain.